Wednesday, December 07, 2016

Firaq Gorakhpuri's famous ghazal: Sarzameen-e-Hind par aqwaam-e-Alam ke...

Firaq Gorakhpuri was one of the most famous Urdu poets of 20th century.

He was born in a Kayastha family. His father was also an Urdu poet. Firaq is primarily a poet of ghazal but also wrote 'rubais'. Read his ghazal:

ज़ेर-ओ-बम से साज़-ए-ख़िलक़त के जहां बनता गया
ये ज़मीं बनती गयी, ये आसमाँ बनता गया

इश्क़-ए-तनहा से हुईं आबाद कितनी मंज़िलें
एक मुसाफिर कारवाँ दर कारवाँ बनता गया

हमको है मालूम सब रूदाद-ए-इल्म-ओ-फलसफा
हाँ, हर ईमान-ओ-यकीं, वहम-ओ-गुमां बनता गया

मैं किताब-ए-दिल में अपना हाल-ए-ग़म लिखता रहा
हर वरक़ एक बाब-ए-तारीख-ए-जहाँ बनता गया

मैंने सौंपा था तुझे एक काम सारी उम्र में
वोह बिगड़ता ही गया, ऐ दिल कहाँ बनता गया

सरज़मीन-ए-हिन्द पर अक़वाम-ए-आलम के फ़िराक
क़ाफ़ले बसते गए, हिन्दोस्तां बनता गया

फ़िराक गोरखपुरी 

Now read the ghazal in Roman English script:

zer-o-bam se saaz-e-khilqat ke jahaa.n banta gaya
ye zamee.n banti gayii, ye aasmaa.n banta gayaa

ishq-e-tanhaa se huii.n aabad kitni manzile.n
ek musaafir karvaa.n dar karvaa.n banta gayaa

hamko hai maalum sab roodaad-e-ilm-o-falsafa
haa.n, har eemaan-o-yaqee.n, waham-o-gumaa.n banta gayaa

mai.n kitaab-e-dil mein apna haal-e-gham likhta raha
har waraq ek baab-e-taarikh-e-jahaa.n banta gayaa

mai.n ne sau.npa tha tujhe ek kaam saari umar mei.n
voh bigaRtaa hi gaya, aye dil kahaa.n banta gaya

sarzameen-e-Hind par aqwaam-e-alam ke firaaq
qaafle baste gaye, Hindustaa.n banta gaya

Firaq Gorakhpuri

Mini-dictionary

Zer-o-bam=Ups and downs
Khilqat=creation
Jahaa.n=world
Aqwaam=Plural of Qaum, communities

Sunday, December 04, 2016

Wasi Shah's Urdu Nazm: Kaash main tere haseen hath ka kangan hota...


Wasi Shah is known for his romantic poetry, especially, ghazals.

Now, read his Nazm:

काश मैं तेरे हसीं हाथ का कंगन होता

तू बड़े प्यार से, चाव से, बड़े मान के साथ
अपनी नाज़ुक सी कलाई में चढ़ाती मुझको
और बेताबी से फुरक़त के खिजां लम्हों में
तू किसी सोच में डूबी जो घुमाती मुझको
मैं तेरे हाथ की खुशबू से महक सा जाता
जब कभी मूड में आकर मुझे चूमा करती
तेरे होंटों की मैं हिद्दत से दहक सा जाता

रात को जब भी तू नींदों के सफर पर जाती
मरमरीं हाथ का एक तकिया बनाया करती
मैं तेरे कान से लग कर कई बातें करता
तेरी ज़ुल्फ़ों को तेरे गाल को चूमा करता

जब भी तो बंद-ए-क़बा खोलने लगती जानां
अपनी आँखों को तेरे हुस्न से खैरा करता
मुझको बेताब रखता तेरी चाहत का नशा
मैं तेरी रूह के गुलशन में महकता रहता

मैं तेरे जिस्म के आँगन में खनकता रहता
कुछ नहीं तो यही बेनाम सा बंधन होता
काश मैं तेरे हाथ का कंगन होता

वसी शाह 

Now read the poetry in Roman English script:

kaash main tere hasee.n haath ka kangan hota
tuu baDe pyaar se, chaao se, baDe maan ke saath
apni naazuk si kalaai me.n chaRhaati mujhko
aur betaabi se furqat ke khizaa.n lamho.n mein
tu kisi soch mein Duubi jo ghumaati mujhko

mai.n tere haath ki khushbu se mahak sa jaata
jab kabhi mood mein aa kar mujhe chooma karti
tere honTo.n ki main hiddat se dahak sa jaata

raat ko jab bhi too neendo.n ke safar ar jaati
marmaree.n haath ka ek takia banaaya karti
mai.n tere kaan se lag kar kaii baateN karta
teri zulfo.n ko tere gaal ko chuuma karta

jab bhi to band-e-qabaa kholne lagti jaanaaN
apni aankho.n ko tere husn se Khaira karta
mujhko betaab rakhta teri chahat ka nasha
main teri rooh ke gulshan mein mahakta rahta

main tere jism ke aangan mein khanakta rahta
kuchh nahiiN to  yahi benaam se bandhan hota
kaash main tere haath ka kangan hota

Wasi Shah

Saturday, December 03, 2016

Majaz' famous ghazal: Teri zulfon ka pech-o-kham nahi hai...

Asrarul Haq Majaz was one of the most celebrated Urdu poets of his era.

Majaz, who was born in Rudauli town in Awadh, UP, in 1911, died young. He was just 44. However, in this short span he left a treasure that has immortalised him. Read his ghazal:

जूनून-ए-शौक़ अब भी कम नहीं है
मगर वोह आज भी बरहम* नहीं है

बोहत मुश्किल है दुनिया का संवरना
तेरी ज़ुल्फ़ों का पेच-ओ-ख़म* नहीं है

मेरी बर्बादियों का हम-नशीनो
तुम्हें क्या, खुद मुझे भी ग़म नहीं है

बोहत कुछ और भी है इस जहाँ में
ये दुनिया महज़ ग़म ही ग़म नहीं है

ब-ईं सैल-ए-ग़म-ओ-सैल-ए-हवादिस*
मेरा सर है कि अब भी ख़म नहीं है

मजाज़ एक बादाकश* तो है यक़ीनन
जो हम सुनते थे वोह आलम नहीं है

असरार-उल-हक़ मजाज़ लखनवी 

Now read in Roman English script:

junoon-e-shauq ab bhi kam nahiiN hai
magar woh aaj bhi barham nahiiN hai

bohat mushkil hai dunia ka sanvarna
teri zulfo.n ka pech-o-kham nahiiN hai

meri barbadiyo.n ka ham-nashiino
tumhein kya, khud mujhe bhi gham nahiiN hai

bohat kuchh aur bhi hai is jahaaN mein
ye dunia mahaz gham hi gham nahiiN hai

ba-ee.n sail-e-Gham-o-sail-e-hawaadis
meraa sar hai ki ab bhi Kham nahiiN hai

Majaz, ek baada-kash to hai yaqiinan
jo ham sunte the voh aalam nahiiN hai

Asrarul Haq Majaz Lakhnawi

Mini-dictionary

*barham=upset
*pech-o-kham=curls, twists [of tresses, hair]
*hawaadis=plural of haadsa i.e. accidents, tragedies
*ba-ii.n=due to this
*baada-kash=alcoholic

Poet Majaz' Urdu couplet on failure in love: O my friends, I have no sorrow though I have ruined myself

Who doesn't know Majaz ? The poet of romance and revolution was born in Rudauli town in Awadh [Uttar Pradesh]. In this couplet, Majaz s...