BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts

Sunday, July 21, 2013

Parveen Shakir's famous ghazal: Kaun hoga jo mujhe uski tarah yaad kare....

Parveen Shakir had stunned the masses as well as critics with the freshness in her poetry. Born in 1952, she grew up to become the most popular Urdu poet of her age. She passed away in 1994.

But by then she had become the most popular poet in India and Pakistan. Read her ghazal:

अपनी तन्हाई मेरे नाम पे आबाद करे 
कौन होगा जो मुझे उसकी तरह याद करे 

दिल अजब शहर कि जिस पर भी खुला दर इसका 
वोह मुसाफिर इसे हर सिम्त से बर्बाद करे 
[dar=door] [simt=direction]

सलब बीनाई** के अहकाम मिले हैं, जो कभी
रोशनी छूने की ख्वाहिश कोई शबज़ाद* करे
[beenaai=vision, salab=taken awy, seized, shut] [ahkaam=orders][shab-zaad=*creature of night, living in darkness]

जब लहू बोल पड़े उस के गवाहों के खिलाफ
काजी-ए-शहर कुछ इस बाब में इरशाद करे

उस की मुठ्ठी में बोहत रोज़ रहा मेरा वुजूद 
मेरे साहिर* से कहो अब मुझे आज़ाद करे 

[Sahir=magician, (here) who has enchanted the poet(ess) with his charms]

परवीन शाकिर 


Now read the same poetry in Roman Transliteration:


apnii tanhaaii mere naam pe aabaad kare
kaun hogaa jo mujhe uskii tarah yaad kare

dil ajab shahar kii jis par bhii khulaa dar iskaa
voh musaafir ise har simt se barbaad kare

salb beenaai ke ahkaam mile haiN, jo kabhii
roshnii chhuune kii Khwaahish koii shab-zaad kare

jab lahuu bol paDe uske gavaahoN ke khilaaf
qaazi-e-shahar kuchh is baab meN irshaad kare

uskii muThThii meN bohat roz rahaa meraa vujuud
mere saahir se kaho ab mujhe azaad kare

Parveen Shakir

[The famous poetess' name is also spelt as Parvin Shakir]

Tuesday, July 03, 2007

Parveen Shakir's famous Urdu ghazal: Baad muddat use dekhaa logo...


Parveen Shakir's poetry had stunned the masses as well as critics. Born in 1952, she grew up to become the most popular Urdu poet of her age. She died young but has left behind a vast treasure and a legacy for women poets. She passed away in 1994.

Read her ghazal:

बाद मुद्दत उसे देखा, लोगो
वो ज़रा भी नहीं बदला, लोगो

खुश न था मुझसे बिछड़ कर वो भी
उसके चेहरे पे लिखा था लोगो

उसकी आँखें भी कहे देती थीं
रात भर वो भी न सोया, लोगो

अजनबी बन के जो गुजरा है अभी
था किसी वक़्त में अपना, लोगो

दोस्त तो खैर, कोई किस का है
उसने दुश्मन भी न समझा, लोगो

रात वो दर्द मेरे दिल में उठा
सुबह तक चैन न आया, लोगो

परवीन शाकिर

Now read the ghazal in Roman English script:

baad muddat use dekhaa, logo
vo zaraa bhii nahiiN badlaa, logo

Khush na thaa mujhse biChhaD kar vo bhii
uske chehre pe likhaa thaa logo

uskii aaNkheN bhii kahe detii thiiN
raat bhar vo bhii na soyaa, logo

ajnabii ban ke jo guzraa hai a bhii
thaa kisii vaqt meN apnaa, logo

dost to Khair, koii kis kaa hai
usne dushman bhii na samjhaa, logo

raat vo dard mere dil meN uThaa
subah tak chain na aayaa, logo

Parvin Shakir

Saturday, June 30, 2007

Parvin Shakir's ghazal: Kisi ke dhyaan mein dooba hua dil...


Parveen Shakir's poetry had stunned the masses as well as critics. Born in 1952, she grew up to become the most popular Urdu poet of her age. She passed away in 1994.

But by then she had become the most popular poet in India and Pakistan. Read her ghazal:

खुली आंखों में सपना झांकता है
वो सोया है कि कुछ कुछ जागता है!

तेरी चाहत के भीगे जंगलों में
मेरा तन, मोर बन कर नाचता है

मुझे हर कैफियत में क्यूँ न समझे
वो मेरे सब हवाले जानता है

मैं उसकी दस्तरस में हूँ, मगर वोह
मुझे मेरी रज़ा से माँगता है
[dastras=reach] [raza=will, permission]

किसी के ध्यान में डूबा हुआ दिल
बहाने से मुझे भी टालता है

सड़क को छोड़ कर चलना पडेगा
कि मेरे घर का कच्चा रास्ता है

परवीन शाकिर

khulii aaNkhoN meN sapnaa jhaaNktaa hai
voh soyaa hai ki kuchh kuchh jaagtaa hai

terii chaahat ke bhiige jangaloN meN
meraa tan, mor ban kar naachtaa hai

mujhe har kaifiyat meN kyuuN na samjhe
voh mere sab havaale jaantaa hai

maiN uskii dastras meN huuN, magar voh
mujhe merii razaa se maangtaa hai

kisii ke dhyaan meN Duubaa huaa dil
bahaane se mujhe bhii Taaltaa hai

saDak ko chhoD kar chalnaa paDegaa
ki mere ghar ka kachchaa raastaa hai

Parvin Shakir

Sunday, May 27, 2007

Parveen Shakir's ghazal: Poetry par excellence in Urdu


Parveen Shakir (1952-1994) was an extraordinary Urdu poetess. She is among the most popular poets in India and Pakistan.

Read her ghazal:

कू-ब-कू फैल गयी बात शिनासाई की
उसने खुश्बू की तरह मेरी पजीराई की

कैसे कह दूँ कि मुझे छोड़ दिया है उसने
बात तो सच है मगर बात है रुसवाई की

वोह कहीं भी गया, लौटा तो मेरे पास आया
बस यही बात है अच्छी मेरे हरजाई की

तेरा पहलू तेरे दिल की तरह आबाद रहे
तुझ पे गुज़रे न क़यामत शब्-ए-तनहाई की

उसने जलती हुई पेशानी पर जब हाथ रखा
रूह तक आ गई तासीर मसीहाई की

अब भी बरसातों की रातों में बदन टूटता है
जाग उठती हैं अजब ख्वाहिशें अंगडाई की

परवीन शाकिर  

Now read in Roman transliteration:

kuu-b-kuu phail gayii baat shinaasaaii kii
usne khushbuu kii taraH merii paziiraaii kii

kaise kah duuN ki mujhe chhoD diyaa hai usne
baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii


voh kahiiN bhii gayaa, lauTaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harjaaii kii


teraa pahluu tere dil kii taraH aabaad rahe
tujh pe guzre na qayaamat shab-e-tanhaaii kii

usne jaltii huii peshaani par jab haath rakhaa
ruuH tak aa gaii taasiir masiihaaii kii

ab bhii barsaatoN kii raatoN meN badan TuuTtaa hai
jaag uThtii haiN ajab khwaahisheN angDaaii kii

Parvin Shakir

Parveen Shakir's ghazal: Ek ham hi nahin, dunia se khafa aur bhi hain...


Parveen Shakir had stunned the Urdu world with her arrival. Her poetry was regarded equally by masses and the classes.

Read her ghazal:

अहले-ए-दिल और भी हैं अहल-ए-वफ़ा और भी हैं
एक हम ही नहीं दुनिया से खफा और भी हैं

हम पे ही ख़त्म नहीं मस्लक-ए-शोरीदा-सरी
चाक दिल और भी हैं चाक कबा और भी हैं

क्या हुआ अगर मेरे यारों की ज़ुबानें चुप हैं
मेरे शाहिद मेरे यारों के सिवा और भी हैं
[shahid=witness]

सर सलामत है तो क्या संग-ए-मलामत की कमी
जान बाकी है तो पैकान-ए-कज़ा और भी हैं


मुंसिफ-ए-शहर की वहदत पे ना हरफ आ जाये
लोग कहते हैं कि अरबाब-ए-जफ़ा और भी हैं

परवीन शाकिर

Now read the ghazal in Roman script:


ahle-e-dil aur bhii haiN ahl-e-vafaa aur bhii haiN
ek ham hii nahiiN duniyaa se Khafaa aur bhii haiN

ham pe hii khatm nahiiN maslak-e-shoriida-sarii
chaak dil aur bhii haiN chaak qabaa aur bhii haiN

kyaa huaa agar mere yaaroN kii zubaaneN chup haiN
mere shaahid mere yaaroN ke sivaa aur bhii haiN

sar salaamat hai to kyaa sang-e-malaamat kii kamii
jaan baaqii hai to paikaan-e-qazaa aur bhii haiN

munsif-e-shahar kii vahdat pe na haraf aa jaaye
log kahte haiN ki arbaab-e-jafaa aur bhii haiN

Parvin Shakir

Parveen Shakir's ghazal: Dil pe ek tarfa qayamat karna...


Parveen Shakir had stunned the masses as well as critics with the freshness in her poetry. Born in 1952, she grew up to become the most popular Urdu poet of her age. She passed away in 1994.

But by then she had become the most popular poet in India and Pakistan. Read her ghazal:

दिल पे एक तरफ़ा क़यामत करना
मुस्कुराते हुए रुखसत करना

अच्छी आँखें जो मिली हैं उसको
कुछ तो लाजिम हुआ वहशत करना

जुर्म किसका था, सज़ा किसको मिली
अब किसी से ना मोहब्बत करना

घर का दरवाज़ा खुला रखा है
वक़्त मिल जाये तो ज़हमत करना

परवीन शाकिर


Now read the ghazal in Roman script:


dil pe ek tarfaa qayaamat karnaa
muskuraate hue rukhsat karnaa

achchhii aaNkheN jo milii haiN usko
kuchh to laazim huaa vahshat karnaa

jurm kiskaa thaa, sazaa kisko milii
ab kisii se naa mohabbat karnaa

ghar ka darvaazaa khulaa rakha hai  
vaqt mil jaaye to zahmat karnaa

Parvin Shakir

Popular Posts