Saturday, August 20, 2016

Poet Zia Farooqui's ghazal: Meri aankhon mein jo thodi si nami rah gayi hai...

Eminent poet Zia Farooqui hails from Sandila, the famous town in Uttar Pradesh.

He stayed a long part of his life in Kanpur before he settled in Bhopal. He is known for his poetic craft, rich imagery and command over the language. Read his ghazal:

मेरी आँखों में जो थोड़ी सी नमी रह गयी है
बस यही इश्क़ की सौग़ात बची रह गयी है

वक़्त के साथ ही गुल हो गए वहशत के चराग़
एक स्याही है जो ताक़ों पे अभी रह गयी है

और कुछ देर ठहर ऐ मेरी बीनाई* कि मैं
देख लूँ रूह में जो बखिया-गरी रह गयी है

आईनो तुम ही कहो क्या है मेरे होंटों पर
लोग कहते हैं कि फीकी से हंसी रह गयी है

बोझ सूरज का तो मैं कब का उतार आया मगर
धूप जो सर पे धरी थी, सो धरी रह गयी है

यूं तो इस घर के दर-ओ-बाम सभी टूट गए
हाँ मगर बीच की दीवार अभी रह गयी है

ज़िया फ़ारूक़ी 

Read the ghazal in Roman English script:

meri aankho.n mein jo thoDi si nami rah gayi hai
bas yahi ishq ki saughaat bachi rah gayi hai

waqt ke saath hi gul ho gaye wahshat ke chiraagh
ek siyaahi hai jo taaqon pe abhi rah gayi hai

aur kuchh der thahar aye meri beenai ke main
dekh loo.n rooh mein jo bakhiya-gari rah gayi hai

aaiino.n tum hi kaho kya hai mere hon.Ton par
log kahte hai.n ki pheeki sii hansi rah gayi hai

bojh sooraj ka to main kab ka utaar aaya magar
dhoop jo sar pe dhari thi so dhari rah gayi hai

yuun to is ghar ke dar o baam sabhi toot gaye
haan magar beech ki diivaar abhi rah gayi hai

Zia Farooqui

Mini-dictionary:
beenaai=eyesight 

Friday, August 19, 2016

Poet Nomaan Shauqe's ghazal: Raat din sirf yahi khwaab tamasha dekhoon....

Noman Shauq [spells his name: Nomaan Shauque] is one of the foremost Urdu poets in India.

Shauque was born in 1965. Hailing from Bihar, he now lives in Delhi. Essentially a poet of ghazal, he has also penned Nazms.

Read his ghazal:

रात दिन सिर्फ यही ख्वाब तमाशा देखूँ
तू नहीं है तो कम-अज़-कम तेरे जैसा देखूँ

कैसी दुनिया मेरे अतराफ़* बसा दी तुमने
एक आवाज़ सुनूँ , एक ही चेहरा देखूँ

मैं भी राज़ी न था यक-तरफ़ा जुदाई के लिए
उसकी चाहत भी यही थी कि हमेशा देखूँ

इतना मुर्दा भी नहीं शौक़-ए-सय्याहत** मेरा
हाँ, मगर देखने लाएक़ हो तो दुनिया देखूँ

मेरी उलझन न कोई और समझ पायेगा
तुझको देखूँ कि मैं बादल को बरसता देखूँ

आँख में रेत के ज़र्रों की जगह बाकी है
लहर गिनने से तो बेहतर है किनारा देखूँ

नोमान शौक़ 

Now read the ghazal in Roman English script:

raat din sirf yahi khwaab tamaasha dekhoo.n
tuu nahiiN hai to kam-az-kam tere jaisaa dekhoo.n

kaisi duniaa mere atraaf basaa dii tumne
ek aavaaz sunoo.n, ek hii chehra dekhoo.n

maiN bhi raazi na tha yak-tarfa judaai ke liye
uski chhahat bhi yahi thi ki hamesha dekhoo.n

itna murda bhi nahiiN shauq-e-sayyahat meraa
haaN, magar dekhne laaeq ho to duniyaa dekhoo.n

meri uljhan na koii aur samajh paayega
tujh ko dekhoo.n ki main baadal ko barastaa dekhoo.n

aankh mein ret ke zarro.n ki jagah baaqi hai
lahar ginne se to behtar hai kinaara dekhoo.n

Nomaan Shauque

Mini-dictionary
*atraaf=around, nearby places
**sayyaahat=travelling, shauq-e-sayyaahat=joy of travelling

Poet Majaz' Urdu couplet on failure in love: O my friends, I have no sorrow though I have ruined myself

Who doesn't know Majaz ? The poet of romance and revolution was born in Rudauli town in Awadh [Uttar Pradesh]. In this couplet, Majaz s...