BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Monday, July 14, 2014

Humorous poetry in Urdu: Eminent satirist Syed Zamir Jafri's verse

Syed Zamir Jafri was a renowned Urdu satirist. He was born in 1916 at Dina near Jhelum. Known for his humour and wit, Jafri wrote prose as well as poetry.

He passed away in 1999. There are many people who publicize their fast [during Ramzan] and when they are fasting, turn hot-tempered and irritable. This verse in ghazal format, which can be termed as Nazm too, is about such souls.

मुझसे मत कर यार कुछ गुफ़्तार*, मैं रोज़े से हूँ
हो न जाए तुझ से भी तकरार, मैं रोज़े से हूँ

हर किसी से कर्ब* का इज़हार, मैं रोज़े से हूँ
दो किसी को अखबार या तार, मैं रोज़े से हूँ

मेरा रोज़ा एक बार-ए-एहसान है लोगों के सर
मुझको डालो मोतियों का हार, मैं रोज़े से हूँ

मैंने हर फ़ाइल की दुमची पर यह मिसरा लिख दिया
काम हो सकता नहीं सरकार, मैं रोज़े से हूँ

ऐ मेरी बीवी मेरे रस्ते से कुछ कतरा के चल 
ऐ मेरे बच्चो ज़रा होशियार, मैं रोज़े से हूँ 

शाम को बहर-ए-ज़ियारत आ तो सकता हूँ मगर
नोट कर लें दोस्त रिश्तेदार, मैं रोज़े से हूँ

तू ये कहता है ब-लहन-ए-तर कोई ताज़ा ग़ज़ल
मैं यह कहता हूँ की बरखुरदार मैं रोज़े से हूँ

ज़मीर जाफरी 

Urdu-English mini dictionary

[Guftaar=talk, conversation; karb=pain]

Now read the same verse in Roman English script:

mujhse mat kar yaar kuchh guftaar, maiN roze se huuN
ho na jaaye tujh se bhi takraar, maiN roze se huuN

har kisii se karb ka izhaar, maiN roze se huuN
do kisii ko akhbaar ya taar, maiN roze se huuN

meraa roza ek baar-e-ehsaan hai logo.n ke sar
mujhko Dallo motiyo.n ka haar, maiN roze se huuN

mai.n ne har faail ki dumchi par ye misra likh diya
kaam ho saktaa nahiiN sarkaar, maiN roze se huuN

aye merii biwi mere raste se kuchh katraa ke chal
aye mere bachcho zaraa hoshiyaar maiN roze se huuN

shaam ko bahar-e-ziyaarat aa to sakta huuN magar
note kar leN dost rishtedaar, maiN roze se huuN

tuu ye kahtaa hai ba-lahan-e-tar koii taaza ghazal
maiN ye kahta hunn Ki barkhurdar maiN roze se huuN

Syed Zamir Jafri

[This Nazm was recently reproduced in Urdu Times, Mumbai] 

Popular Posts