BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Friday, December 27, 2013

Eminent poet Meraj Faizabadi's ghazal: Mujhko thakne nahi deta ye zaroorat ka pahaaD...

Meraj Faizabadi was a famous Urdu poet. His real name was Syed Merajul Haq. He was born in Faizabad in 1941.

However, he later settled in Lucknow. Known for his unique style, he attained fame across the Urdu speaking world, especially, in Mushairas.

A man who never compromised on his values, he was quite blunt in his poetry. Meraj Faizabadi was associated with the Waqf Board in Uttar Pradesh (UP).

हम ग़ज़ल में तेरा चर्चा नहीं होने देते 
तेरी यादों को भी रुसवा नहीं होने देते 

कुछ तो हम खुद भी नहीं चाहते शोहरत अपनी
और कुछ लोग भी ऐसा नहीं होने देते

आज भी गाँव में कुछ कच्चे मकानों वाले 
घर में हमसाये के फ़ाक़ा नहीं होने देते 

ज़िक्र करते हैं तेरा नाम नहीं लेते हैं
हम समंदर को जज़ीरा नहीं होने देते

मुझको थकने नहीं देता ये ज़रुरत का पहाड़ 
मेरे बच्चे मुझे बूढ़ा नहीं होने देते 

मेराज फ़ैज़ाबादी 

[hamsaaye=neighbours]

Now read the same Ghazal in Roman script:

ham Ghazal meN teraa charcha nahiiN hone dete
terii yaadoN ko bhii rusvaa nahiiN hone dete

kuchh to ham Khud bhii nahiiN chaahte shohrat apnii
aur kuchh log bhii aisaa nahiiN hone dete

aaj bhii gaa.nv meN kuchh kachche makaanoN waale
ghar meN hamsaaye ke faaqa nahiiN hone dete

zikr karte haiN teraa naam nahiiN lete haiN
ham samandar ko jaziiraa nahiiN hone dete

mujhko thakne nahiiN detaa ye zaroorat ka pahaaR
mere bachche mujhe booRhaa nahii hone dete

Meraj Faizabadi

[After a period of illness, Meraj Faizabadi passed away on November 3, 2013. This ghazal is remembered for the oft-quoted couplet, 'mujhko thakne nahiiN deta ye zaroorat ka pahaad/mere bachche mujhe booDha nahiiN hone dete'.]

Popular Posts