BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

BestGhazals.NET: Read Urdu poetry in Roman English, Urdu and Devnagari Hindi

Search BestGhazals

Friday, August 01, 2008

Qateel Shifai's famous ghazal: Ki sang tujh pe gire aur zakhm aaye mujhe...


Qateel Shifai whose real name was Aurangzeb Khan was born in Hazara in undivided India in 1919. His poetry was equally popular on both sides of the border.

Qateel's lyrics were also used in the movies. He passed away in 2001. Read his famous ghazal:

ये मोजज़ा भी मोहब्बत कभी दिखाए मुझे
कि संग तुझ पे गिरे और ज़ख्म आये मुझे
[mojza=miracle, sang=stone]

वो मेरा दोस्त है सारे जहां को है मालूम
दग़ा करे वो किसी से, तो शर्म आये मुझे

वो मेहरबान है तो इकरार क्यूँ नहीं करता
वो बदगुमां है तो सौ बार आजमाए मुझे

वही तो सब से ज्यादा है नुक्ता-चीं मेरा
जो मुस्कुरा के हमेशा गले लगाए मुझे

बरंग-ए-ऊद मिलेगी उसे मेरी खुश्बू
वो जब भी चाहे बडे शौक़ से जलाए मुझे
[Ood or Ud=an incense, aloeswood
that has a fragrant smell]

मैं अपनी जात में नीलाम हो रहा हूँ
गम-ए-हयात से कह दो खरीद लाये मुझे

क़तील शिफाई


Now read the Roman English transliteration:

ye mojaza bhii mohabbat kabhii dikhaaye mujhe
ki sang tujh pe gire aur zaKhm aaye mujhe

vo meraa dost hai saare jahaaN ko hai maaluum
daGaa kare vo kisii se to sharam aaye mujhe

vo meherbaaN hai to iqraar kyuuN nahiiN kartaa
vo badgumaaN hai to sau baar aazmaaye mujhe

vahii to sab se zyaada hai nukta-chiiN meraa
jo muskuraa ke hamesha gale lagaaye mujhe

barang-e-uud milegii use merii khushbuu
vo jab bhii chaahe baDe shauq se jalaaye mujhe

maiN apnii zaat meN niilaam ho rahaa huuN
Gam-e-hayaat se kah do khariid laaye mujhe

Qateel Shifaai

Popular Posts